Friday, January 11, 2013

TALAASH.......

Aksar aur beshtar, youn bhi huta hai, kay dil dharakta huwa mehsus tu huta hai per zinda hunay ka ehsas nahin huta. Beshumaar hasratain insaan kay dil main peda huti hain, aur aesa wakt bhi aata hai, jab wuhi hasratain, naa-umeedi ka libada orh leti hain. Naa-umeedi bhi buhut hi ajeeb cheez hai, deen nay haram kar rakha hai, per ye har shaks kay wajud main kahin na kahin zarur maujud huti hai, aur agar na bhi hu tu zindagi aur halaat insaan ko is kay samnay kabhi na kabhi zarur la khara kartay hain. Insaan ki khuwahishaat usay buhut majboor kar dalti hain, kay wu aesay feslay karay ju zindagi main aagay chal kar sharmidagi ka baes bantay hain. Anjanay main kiye janay walay feslon kay aagay dil bebas hu jata hai, aur inhi ghalat feslon ki zad main aakar wajud aesay zakhm khata hai ju zindagi bhar shayed bhar nahin patay.

Bazaahir tu buhut say lamhaat aesay bhi aatay hain, jab faraaar kay raastay wa'azay dikhayee denay lagtay hain, lekin phir yeh soch aaray aati hai kay faraar hu bhi tu aakhir kis say? Apnay aap say bhi koi aakhir bhaag paya hai aaj tak. Ye apni hi zaat say ki janay wali jang bhi tu buhut hi khatarnaak huwa karti hai. Mainey bhi yehi himakat ki, apnay dil say hi lar betha. Apni hi khuwahishaat ko apna hi dushman bana betha main.

Main ye tu nahin janta kay meray dil aur meray wajud ki is jang main, kaun jeet paya hai. Haan! itna zarur janta hun kay jab tak saansain chalti rahaingi, tab tak ye jang bhi shayed chalti hi rahaygi. Main ye jang jetnay kay liye kabhi nahin lara, main tu bas apni shanaakht haasil karnay kay liye larta aaya hun.

Bas, jis pal mujh main apna aap mil gaya mujhey, shayed usi roz main is dil kay aagay haar jaunga apna sab kuch. Mujhey talaash hai tu apnay aap main chupay us shaks ki, kay jisay phir shayed kabhi koi kamzor na kar payega.

Main agar ye jang hara tu bas isliye kay zindagi ko dikhana chahunga, yehi kay, haar kar bhi jeeta kesay jata hai.......

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.