Sunday, November 25, 2012

TERE NAAM KE PHOOL......

meri sab kitabon mai rakhay tere naam ke phool
tar-o-taazaa hain aaj bhi teri yaadon ki tarhaan
wu lamhay kay ju hum nay guzaray sath aksar
qaaim hain dil main jaavaida zindagi ki tarhaan
mera youn toot kay chahna, aur tera chale jana
teh tha ye sab, muqaddar kay usoolun ki tarhaan
teray wu aajiz, masoom lehjay main chupi berukhi
chubti hai aaj bhi seenay main kaanton ki tarhaan
tujhey tu aadat thi sab adhura chor jane ki, lekin
teri yaad aaj bhi zinda hai dil ki dharkan ki tarhaan

meri sab kitaabon main rakhay tere naam kay phool
aksar mehektay hain sandal ki khushboo ki tarhaan

Friday, November 9, 2012

KUCH SAPNAY UDHAAR

aao kuch sapnay udhaar lay kay dekhtay hain
unhi sapnon say kismat aazma kay dekhtay hain
mili khushiyan tu muddaqar kay sikandar hungay
gham ju aye tu phir qarz chuka kay dekhtay hain
sath ju chalo tu koi baat nahin ghabranay ki
aik baar phir usi raah pay chal kay dekhtay hain
waja jafa tu sab kitaabon main mila karti hain
chaho tu is muhabbat ko azma kay dekhtay hain
in wehsaton nay ju gher rakha hai ab har pal
aao aik baar zara jaan say jaa kay dekhtay hain

meri maano tu...
aao kuch sapnay udhaar lay kay dekhtay hain
unhi sapnon say kismat aazma kay dekhtay hain

Monday, November 5, 2012

KYUN ANJAAN BANAY REHTAY HU...

jao kisi aur ko sunana ye kissa
ye dilasay, ye zaat ka nisaab
raat ka ye gehra kaala rang
keh deta hai sachaye sab

tum samajh nahin patey,
ya samajhnay kay bawajud
anjaan banay rehtay hu?

AIK SHAIR....

in ishq kay zaawiyon ko tum kya samjho
tumhain tu hisaab kitab say nafrat thehri
kaunsi lakeer seedhi kaunsi terrhi lagaye
kya huwa, muhabbat huti tu fark bhi parta

Sunday, October 21, 2012

AIK SHAIR...

phir youn huwa kay humain adat hu gayee
mujhey tanhayee ki, usay yaad-e-maazi ki

Saturday, October 20, 2012

AIK SHAIR.....

Mujhey hai kaamil yakeen, tujhey nahin aetbaar lekin,
Mujhey tere bichar janey ka, tujhey meri muhabbat per

Monday, September 24, 2012

CHAND ALFAAZON MAIN LIKHAY FASLAY

chand alfaazon main likhay faaslay kabhi mit hi na sakay, siyaahi itni pakki hugi kabhi socha na tha, kuch berukhi teray aakhri alfaazon say ayaan thi, kuch lafz meri anaa ki soli charh chukay thay, warna baat bas itni si thi, kay teray alfaaz kabhi meray lafzon ki taseer samajh hi na paye, aur phir aakhir kaar mainey aik na khatam hunay wali chup saadh li, wu saray lafz, ju niklay thay kabhi teray wajood ko panay ki khaatir, kho gaye kahin aur....

ab main na tu kisi say kuch keh pata hun, na meray alfaaz mera sath detay hain.

Friday, August 24, 2012

HAAN, YE SACH HAI - HU HI JAATI HAI

kabhi palat kay dekho tu
hamesha yaad rakhna tum
musalsal dekhtay rehnay say
muhabbat hu hi jaati hai

magar ye bhi sach hai kay
nazar kay paar hunay tak
koi lamha ju ruk jaye
muhabbat hu hi jaati hai

kisi mandir ya masjid main
khuda bhagwaan mil jaye
tu ye tum khoob samajh lena
muhabbat hu hi jaati hai

subah say shaam hunay tak
na haasil hu sakay kuch bhi
tu ye tum jaan lena phir
muhabbat hu hi jaati hai

kitaabon main fasanon main
ju likha ja chuka ab tak
wu kissay aam hunay say
muhabbat hu hi jaati hai

na din ko neend ati hu
na shab ko chen aata hu
tu aksar aesi halat main
muhabbat hu hi jaati hai

buhut alfaaz parhta hun
koi nuqsaan nahin huta
magar jab naam aata hai
muhabbat hu hi jaati hai

buhut sunsaan rehta hai
meray andar ka mausam ab
magar ye jaan janay tak
muhabbat hu hi jaati hai
      

Tuesday, April 24, 2012

KHUD KO MAT SAMETNA KABHI


Usnay kabhi kaha tha kay khud ko jab samet logay aur manzil-e-maqsood tak pohonch jaogay tu baat karna, us wakt jab tum samjho kay tum nay zindagi kay atwaar seekh liye hain tab mujh say raabtay bahaal karna. Mainey usi raat ye thaan li thi kay jesa wu chahti hai wesa ban kar dikhaunga usay, meri izzat-e-nafs majrooh hutay huwe mehsus hunay lagi thi mujhey. Buhut koshish kay bawajood meray andar anna ki aag si lagnay lagi thi per main usay rok na paya. Phir na din dekha na raat, isi kashmakash main kay hasil karlunga usay main hamesha kay liye, main mehnat karta raha. Na theek say so paya tha main na ye ehsaas raha tha kay kab sooraj apni roshni say is dharti ko roashan karta hai aur kab yehi roshan dharti raat kay veeran andheron main kho kar so jaati hai. Main lagataar mehnat karta raha. Zindagi main aik maur phir aesa bhi aaya, jab ye mehsus hunay laga kay khud ko samet liya hai mainey, zindagi guzaarnay kay dhang seekh chuka hun. Bas phir kya tha, nikal para uski talaash main, socha tha usay mil kar ye bataunga kay dekho tum nay mujhey kahan la khara kiya, tum nay kaha tha kay samet lu apni hasti ko, lu aaj aik mazboot insaan hun, khud ko samet kar jeena seekh rakha hai mainey. Per wu na mili, buhut dhunda usay, thak gaya per talaash tark na ki mainey. Din saalon main badaltay rahay, aur main dhundta raha usay, per shayed ab hamara milna muhaal tha, koi maujza huta ya khuda ki jaanib say takdeer main likh chukka huta tu shayed hum mil patay per meri barson ki talaash raiga chali gaye.
Aaj barson baad chaltay chaltay thakan mehsus huwe, tu chaye ka aik cup peenay kay liye aik restaurant kay samnay ruk gaya, achanak aik awaaz meri sama’aton ko chuti huwee dil tak pohonchi tu dil nay dimaagh ko keh bheja kay ye tu wuhi hai jiski talaash tumhain barson say rahi hai. Mainey palat kar apni peechay dekha tu aankhain dang reh gayee, jism jesay bejaan sa hu gaya. Kadam khud ba khud uski jaanib barhnay lagay, wakt nay aik baar phir humain aamnay samnay la khara kiya tha. Uskay chehray e badaltay huwe rang dekh sakta tha main, uskay labon per halki si muskurahat thi aur ajnabiyat bhi thi shayed. Haan ye baat sach thi kay, aaj usay youn samnay khara dekh kar main phir say bikhar gaya tha, wu saray taur tareeqay sab bhool gaya tha. Lekin is baar unsay kuch na kaha, wu chup rahi aur chal di. Meri talaash khatam huwe, mujhey mera jawab mil gaya. Aur main aik baar phir say bhikrey huwe wajud ko sametnay main lag gaya.

Thursday, April 19, 2012

HAAN - AKELA REH GAYA HUN AB SHAYED


Dil veeran hunay lagay tu pura wajud bikharnay lagta hai. Jeenay kay liye zaruri hai kay bikhray huwe wajud ko har baar samet lena chahiye. Mudat’ton baad aaj phir say ye ehsaas hunay laga hai kay mairay atraaf main ju beshumaar hastey kheltay chehray rehtay thay, yak-e-baadeegrey ab nazron say ojhal hutay ja rahay hain.  Main ab apnay aas paas pheli khamoshi ko sun sakta hun. Wu guzra huwa wakt yaad karta hun kay jab yaaron ko chalay janay ya akela chor denay ko keh deta tha. Dost bhi kitnay ajeeb hute hain, mairay baar baar israar karnay per bhi tanha nah chortay thay, shayed tab main unkay liye koi mautbar shaks tha. Aaj ye maamla kay tanhayee bhi meri baat sun’nay ki rawadaar nahin. Ab tu aksar ye mehsus huta hai kay ye khamoshi ka shor meri samaaton ki ronak na cheen ley kahin.
Waqt wohi acha tha jab main kisi kay liye koi hesiyat rakhta tha, jab shayed meri zarurat bhi thi kisi shaks ko, koi meri zindagi ka hissa ban’na chahta tha, lekin tab mujhe hosh hi kahan tha, majburiyon kay chat kay neechay apni zindagi kay din kaat raha tha. Haalat aaj bhi kuch alag tu nahin lekin, ab zarurat mujhey hai. Zimedaariyon ko pura kartey kartey ab thakan mehsus karnay laga hai wajud. Ab zarurat hai mujhey. Aik sath ki, aik be-laous sath ki. Kehna chahta hun ab main dil ki har baat, per na-janay kyun har baar ye tanhayee aaray aajaati hai.

Sunday, March 11, 2012

TERE LAFZON KI SIYAAHI

teray likhay un khatoot ki,
siyaahi ab tak geeli hai
na khud say sookhna chahti hai
na main khushk hunay deta hun
wu saray lafz teray
main baar baar parhta hun
unhi kaghaz kay panno per
main aksar let jata hun
thakan say choor choor jab
aankhain band huti hain
teri hi yaad aati hai
wu saray lafz teray
aksar bheeg jatay hain
main din ki roshni main phir
buhut sa wakt bita'ata hu
sukhata hun ik ik lafz
sookhnay kay baad bhi
siyahi geeli rehti hai