Thursday, January 3, 2013

AGAR TUM IJAZAT DO TU.....


Suno, agar tum ijazat do tu main tumhari sab yaadain mita daalon, meray dil aur dimaagh main ab koi jagah nahin baaki, buhut si sochain aati hain aur wapas chali jaati hain. Muhabbat kay junoon main sab tumhain sonp dala tha. Youn mehsus huta tha kay shayed umr bhar tumhari yaad sath rahaygi, magar tum hi batao ab, kya ye mumkin hai, tum sath nahin, phir bhi tumhain sath liye kesay chalon?

Agar tum ijazat do tu main phir say muhabbat kar daalon, buhut say log hain jinko, tumhari deed ki khaatir, tumharay pyaar ki khaatir, tumharay hi intezaar ki khaatir, hamesha rokay rakha hai, unhain maloom hai kay main tum say hi pyar karta hun, magar phir bhi tum ye dekho, buhut belaus muhabbat hai, unhain mujh say hamesha say. Magar mainey unhain kab say tumharay naam ki khaatir, muhabbat say mehroom rakha hai, tumhari muhabbat nahin hai paas, muhabbat ki is duniya mian, tum hi batao main kesay rahon?

Agar tum ijazat do tu main phir say jeena chahta hun. Mukaddar tu hamesha mujh say khelna chahta tha, usnay khela bhi, aur jeeta bhi. Tum hi batao, mukaddar kay feslon kay aagay kaun jeet paya hai? Hakeekat jaan jaanay kay baad, mujhey youn mehsus hunay laga tha kay jaan hi jaanay lagi hai. Zindagi tu pehlay hi museebatzada thi, tu ye soch kar dil ko tassali di kay chalo younhi sahi. Tum nay bhi jatay jatay kuch lautaya nahin, kam az kam kuch tu luta jaati, mujhey meri shanaakht hi lauta jaati, per tumhain shayed jaldi thi. Tum hi batao ab, main kis naam say zindagi guzaron ab?

Suno, agar tum ijazat do tu, main aankhain band kar daalon…………..

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.