Friday, December 11, 2009

MAUT KAY GHAAT UTAR KAY DEKHO

Maut kay ghaat utar kay dekho
zaat mukamal kar kay dekho
Aaa laut chalain ab matti talay
Kay thak chukay shayad jee kar
Kehday ja kay baat purani
Shabd anokhay ujlay kar kar
Dekh zara un jazbon janib
Aag jahan madham hu kar
Saans na ley aur mand pare
Jal jal mar mar rakh ban kar
Yad kisi ki aye kabhi aur
Yad-e-maazi hu jaye amar
Mauta kay ghaat utar kay dekho
Zaat mukamal kar kay dekho

IRTIQA-E-MUHABBAT

khizain bewafa nikli, Baharain sach kehti hain
wu ankhain nam nikli, hawain sach kehti hain
sare shaam irtiqa-e-muhabbat jab hunay laga tu
wu mehfil say chal nikli, wafain sach kehti hain
na aadab-e-muhabbat, na aadab-e-mehfil say waqif
wu tu anjaan nikli, samaatain sach kehti hain
chahat thi mujh say, yan faqat rafaaqat thi usay
wu nazrain gustaakh nikli, aankhain sach kehti hain
na wu muskaaee kabhi na heran rahi mairay ishq pay
wu tu khud maayus nikli, adain sach kehti hain
mairay gird ju dairay hain uddasiyon kay aayaan
sab raakh nikli, dharkanain sach kehti hain

YE JU RAG-E-JAN HAI RUKI RUKI.....

Mairey saray aqs hain dhulay dhulay mujey apnay roop ka aqs do


Mairey saray rang hai mitay mitay mujhey apnay rang main rang do

Ye ju rag-e-jan hai ruki ruki, ye ju faaslay taweel hain darmayan

Tum bas raho mairay paas paas, mujhey judai ki tum waba na do

AA SEHAR AABAAD KARAIN HUM...

Mauj chalay, na phir rukay
Ye aisa sumandar hai aab ka
Kay aab hu kay ismain aag
Dard chupa behisaab hai
Tun dekh zara usay hai intezar
Kisi maujzay kay wajood ka
Kisi shahsaar ki oo’ut say
Mujhey dekhta hai koi rahguzar
Maira aqs hai dhula dhula
Koi nazar hai jhuki jhuki
Kayee rastay hain juda juda
Kayee log talash-e-hamsafar
Ki justajoo main hain ghoomtey
Kuch log tanha shaam kay
Andher veeran raston per
Shama jalaye baithey hain
Nadaaniyon ki hadain dekho
Mayous tanha dil hun jinkay
Wu aas lagaye baithey hain
Phir chand ki dheemi roshnai main
Kuch aks talaash kartay hain
Aur barish hunay lagti hai
Tu thikana phir nahin milta
Kyun log aisa kartay hain
Kay khuwahish adhori adhori si
Man main deep jalatay hain
Phir aankhain nam kuch huti hain
Tu sard aahain bhartay hain
Aur udaasiyon kay saye phir
Aik dam say chranay lagtay hain
Aa dekh zara un raston ko
Ju rastay kachay kachay say
Kuch baatain namukamal si
Kuch aks puranay puranay say
Ubhertey doobtey rehtay hain
Tun soch zara mushqil hai kitna
Sard hawa main nam aankhain karma
Kya huga gar harkat na rahi
Aur chamakti in aankhon ki
Rounak gum na jaye kahin
Aa dekh zara aik baar phir say
Roshan sitaray hain ambar pay
Chal niklain un raston per hum
Jahan log puranay chaltay they
Wu log jinhain hum kho baithey they
Chal unhi ko yad karain hum
Aa sehar aabaad karain hum

LAMHEY: BEET GAYE

Gaye dino ko jab bhi dekhta hun main, tu kaain sochain gher leti hain meray wajood ko, phir aik ajeeb sa dard uthnay lagta hai, main phir say chalnay lagta hun, unhi raston per kay jahan barson pehlay yehi khak choomti thi kadam koi, chaltay chaltay jab khushboo rach bas si jati thi us matti main tu usay utha kar mehfooz kar lenay ko ji chahta tha, wohi aik darakht ki chaoon thi jahan thakay thakay say andaz main koi aram karnay ki aar main kuch sochti aankhain girtay paton ko dekhti aur kehti kyun alag kar deta hai apnay wajud say apnay pattay ye darakht? kay jin kay hunay say uskay zinda rehna ka ehsas huta hai, tu kaisay alag kar deta hai ye wu zindagi ki alamat apni? Han per jab tak rang o jan rahay sirf tab tak ehsas zinda rehta hai aur jab sookh jaye to gir jata hai wu pata. Jisay shayed thukra dia jata hai aur ishq amr hunay kay baad dil nahin lagta us dayar main jahan yad-e-maazi azab ban jaye tu gir janay main sukoon behisaab huta hai.


Mainey samjhaya buhut tha usay kay ye dunia main na tu koi kisi ko chahta hai na koi pata toot girta hai, han per itna zarur huta hai kay sookh janay tak jan rehti hai us patay main tu anjaam yehi huta hai kay wu gir jata hai, meri baatain faqat hasnay ka sabab thehri hamesha. Youn tu kabhi na huwa tha, mairay alfaaz itney berang yan bemainey tu na huwe kabhi, kay aaj log sun kar inhain sirf muskura dain.

Gaye dino ko jab bhi dekhta hun main kuch madham madham sargoshi karti, shararti aankhain mairi sochon per hawi hu jati hain aur main phir say doob jata hun un sochon main. Ehsas huta hai kay shayed khaasa waqt guzar chuka, kay abs hayed tanha baithey baithey in sochon bhi kahin deemak kha na jaye, tu isi dar say dehan hata kar main kuch aur sochnay lagta hun, per kahan reh sakta hai wu anmol naam, wu rawaiya, wu andaz, wu adaain, wu rang, wu khushbu, mairay wajud say alag……mainey tu kaain baar kaha “mujhey tum say muhabbat hai”, bus wu shaks hi harf bhul baitha tha, shayed sama’atain sun na paati thi uski, yan phir wu tha hi anjan, dil ko yehi samjha denay say sukoon mil jaya karta tha kay “abhi khasa waqt para hai, keh degi kay usay bhi mujh saymuhabbat hai”, aur aaj itney barson baad bhi zindagi usi aik behlaway kay gird chakar kaat rahi hai shayed. Aaj youn mehsus huta hai jaisay buhut si awazon main koi awaz aisi bhi hai jiskay hunay say aik ajeeb sa ehsas huta hai. Jaisay koi sargoshi mairay kaan say lag kar kuch kehna chahti hu, kay jaisay koi dard chupa hu us awaz main, aur main bhi tu na-waqif hun, kay akhir main sun kyun nahin pata, mairay mizaj main wu chustagi kahan chali gaye kay kabhi ahat per dil chaunk jaya karta tha aur aaj ye aalam kay aik awaz aik sargoshi sunayee na dey. Mainey kaain bar usay kaha kay mat laro apni ana say, kay ye aag jala kar raakh kar dalti hai, muhabbat agar aas paas hut u apna lu usay, mujhey ye bhi mehsus huta tha kay usay muhabbat zarur hai per mujh say nahin. Mujhey ye bhi yakeen tha kay usay intezar hai kisi ka aur mujhey uskay iqrar kar denay ka. Mujhey ye bhi maloom tha kay zindagi aksar aisay maur per aakay ruk jaati hai jahan say na tu insan aagay barh sakta hai na zindagi rukti hai, saanson nay tu aakhir chalna hi huta hai, tu phir wu aik soch kay jiskay aajanay say berang samaa main har su rang bikhar jatay hain, kay saharay main phir say chalnay lagta hun, sookhay huwe un paton per ju kabhi wisal-e-yar kay intezar main gir gaye they kabhi, un paton per chalnay main aisi awazain aati hai kay jaisay kuch toot raha hu, han toot hi tu rahay hutay hain wu patay, kay jin kay tootay dil, benoor aakhain, aur saakit jism zameen per youn bebas paray hutay hain kay jaisay jan nikal gayee hu, har chukay hun zindagi ki baazi bahar kay intezar main.

Thursday, September 24, 2009

MAIN AKSAR YE SOCHTA HUN

Main aksar ye sochta hu kay kaash mainey na kaha huta usay kay ‘mujhey tum say muhabbat hai’, tu shayed aaj hum sath hutey, par main bhi kya karta, majboori main keh dala sab kuch usay, aur ye bhi na socha kay us per kya guzray gi, magar phir kehna bhi tu zaruri tha, aur agar na kehta tu umr bhar apni khuwahishaat say larta rehta, mera nafs, mera dil, mera wajud mujhey bar bar ye yad dilatay rehtay hain kay, main adhora hun, mairay khayalon main basa shayed aaj bhi wu hai, kitnay baras beet gaye, kitney mausam guzar gaye per aaj bhi mairi soch ka mehwar hai wu shaks.
Main aksar ye sochta hun kay kyun wu shaks youn mairi zindagi say alag huwa kay phir na lauta kabhi. Kya usay mairi muhabbat per bharosa na tha, yan wu khud buhut kamzor tha kay muhabbat jaisay is mazboot rishtay ko nibaha na sakta tha? Kyun achanak wu mujh say juda huwa aur phir maazi ka hissa bana dala unsay apnay aap ko, aaj jab bhi main un gaye dinno ko dekhta hun, tu kuch aks puranay mairi aankhon kay samnay namudaar hutey hain, main tu shayed in buhut say chehron ko pehchan bhi nai pata, per han itna zarur janta hun kay inhi chehron main koi aik chehra jana pehchana zarur hai, kay jaisay usay kisi khaas nazar nay mehfuz apni zaat main kiya hu kabhi.
Main aksar ye bhi sochta hun kay kya dhundhnay say mil jati hai khoye huwe cheez, han shayed mil jaati hai gar khuda chahay, par mairay jism main jahan tak jan rahi main dhundta raha usay, wu shaks na mila kabhi, par han kissi nay kya khoob kaha, kay dhundnay say tu khuda bhi mil jata hai. Buhut baar mila khuda, har baar sajday main gir gaya, mera ang ang us rab-ul-izzat ka karz daar raha, aur phir ye huwa kay nam huwee aankhain, taqdeer nay likhat parat chor di shayed, main baitha raha raat bhar, suraj namudaar huwa phir tu jana kay talaash main uski buhut dur nikal aya main, laut kaisay jaaon is soch main gum tha wajud maira.
Main aksar ye sochta hun kay aakhir usay talaash kis ki thi, kaun tha un aankhon main basa huwa? Wu aankhain aakhir kis kay intezar main berang huwe jaati thin?

Monday, September 14, 2009

BARISH SAB KUCH DHO DALTI HAI

Barish sab kuch dho dalti hai
tu phir kyun rait per likhtey hu tum
koi aks mairay gumaan main aj bhi hai
tu phir kyun yad uski aati hai mujhey
naqsh jab jab koi bannay lagta hai
tu barish sab kuch dho dalti hai

youn tu aksar sarey shaam tanhai main
baithey rehna adat si ban chuki hai mairi
main wu andhera hun jismain kho kar
har jugnoo hai roshnai ki talaash main
nishaan koi chor kar bhi jana chahay tu
ye barish sab kuch dho dalti hai

main din main nikal bhi jaun tu
laut aata hun aksar raat gaye
meri zindagi kay veeran aangan main
kuch log aye aur phir youn gaye
kay naqsh-e-pa na milay, tu jan gaye
kay barish sab kuch dho dalti hai

YE PATTAY YOUN NA RAUNDO TUM

Ye pattay youn na raundo tum
Ye chaaon tumhi ko detey hain
Tum ishq ki baatain kartay hu
Aur dil jaisay in patton ko
Kyun raundtey huwe tum chaltay hu
Ye ishq nahin anjaan itna
Kyun ishq ishq tum kartay hu
Ye pattay youn na raundo tum
Ye chaaon tumhi ko detey hain

In paton kay masoom chehray
sab tumhi ko taktay hain
na youn inhain barbad karo
ye pyar tumhi say kartay hain
ye patay youn na raundo tum
ye chaaon tumhi ko detay hain

Tum chukay inhain dekho zara
kyun itney sundar lagtay hain
Ye barish phir jab huti hai
Kyun nikhray nikhray lagtay hain
ye pattay youn na raundo tum
ye chaaon tumhi ko detay hain

Gaye dino ko jab bhi dekhta hun
Kuch aks puranay dikhtay hain
Phir soch purani aati hai
Aur yad-e-maazi dard ban kar
Zaat meri main rehta hai
Main phir say chalnay lagta hun
Tu youn lagta hai jaisay koi
Shaks purana sath hu mairay
Ye patay youn na raundo tum
Ye chaaon tumhi ko detay hain

Aur jab mausam saazish karta hai
Tu badal ronay lagtay hain
Ye pattay phir say dekho tum
Kuch ujlay ujlay lagtay hain
Per khizaan jab jab aati hai
Paigham-e-maut laati hai
Ye patay phir gir jatay hain
Aur ishq amar kar jatay hain
Ye pattay youn na raundo tum
Ye chaaon tumhi ko detey hain