Thursday, September 24, 2009

MAIN AKSAR YE SOCHTA HUN

Main aksar ye sochta hu kay kaash mainey na kaha huta usay kay ‘mujhey tum say muhabbat hai’, tu shayed aaj hum sath hutey, par main bhi kya karta, majboori main keh dala sab kuch usay, aur ye bhi na socha kay us per kya guzray gi, magar phir kehna bhi tu zaruri tha, aur agar na kehta tu umr bhar apni khuwahishaat say larta rehta, mera nafs, mera dil, mera wajud mujhey bar bar ye yad dilatay rehtay hain kay, main adhora hun, mairay khayalon main basa shayed aaj bhi wu hai, kitnay baras beet gaye, kitney mausam guzar gaye per aaj bhi mairi soch ka mehwar hai wu shaks.
Main aksar ye sochta hun kay kyun wu shaks youn mairi zindagi say alag huwa kay phir na lauta kabhi. Kya usay mairi muhabbat per bharosa na tha, yan wu khud buhut kamzor tha kay muhabbat jaisay is mazboot rishtay ko nibaha na sakta tha? Kyun achanak wu mujh say juda huwa aur phir maazi ka hissa bana dala unsay apnay aap ko, aaj jab bhi main un gaye dinno ko dekhta hun, tu kuch aks puranay mairi aankhon kay samnay namudaar hutey hain, main tu shayed in buhut say chehron ko pehchan bhi nai pata, per han itna zarur janta hun kay inhi chehron main koi aik chehra jana pehchana zarur hai, kay jaisay usay kisi khaas nazar nay mehfuz apni zaat main kiya hu kabhi.
Main aksar ye bhi sochta hun kay kya dhundhnay say mil jati hai khoye huwe cheez, han shayed mil jaati hai gar khuda chahay, par mairay jism main jahan tak jan rahi main dhundta raha usay, wu shaks na mila kabhi, par han kissi nay kya khoob kaha, kay dhundnay say tu khuda bhi mil jata hai. Buhut baar mila khuda, har baar sajday main gir gaya, mera ang ang us rab-ul-izzat ka karz daar raha, aur phir ye huwa kay nam huwee aankhain, taqdeer nay likhat parat chor di shayed, main baitha raha raat bhar, suraj namudaar huwa phir tu jana kay talaash main uski buhut dur nikal aya main, laut kaisay jaaon is soch main gum tha wajud maira.
Main aksar ye sochta hun kay aakhir usay talaash kis ki thi, kaun tha un aankhon main basa huwa? Wu aankhain aakhir kis kay intezar main berang huwe jaati thin?

Monday, September 14, 2009

BARISH SAB KUCH DHO DALTI HAI

Barish sab kuch dho dalti hai
tu phir kyun rait per likhtey hu tum
koi aks mairay gumaan main aj bhi hai
tu phir kyun yad uski aati hai mujhey
naqsh jab jab koi bannay lagta hai
tu barish sab kuch dho dalti hai

youn tu aksar sarey shaam tanhai main
baithey rehna adat si ban chuki hai mairi
main wu andhera hun jismain kho kar
har jugnoo hai roshnai ki talaash main
nishaan koi chor kar bhi jana chahay tu
ye barish sab kuch dho dalti hai

main din main nikal bhi jaun tu
laut aata hun aksar raat gaye
meri zindagi kay veeran aangan main
kuch log aye aur phir youn gaye
kay naqsh-e-pa na milay, tu jan gaye
kay barish sab kuch dho dalti hai

YE PATTAY YOUN NA RAUNDO TUM

Ye pattay youn na raundo tum
Ye chaaon tumhi ko detey hain
Tum ishq ki baatain kartay hu
Aur dil jaisay in patton ko
Kyun raundtey huwe tum chaltay hu
Ye ishq nahin anjaan itna
Kyun ishq ishq tum kartay hu
Ye pattay youn na raundo tum
Ye chaaon tumhi ko detey hain

In paton kay masoom chehray
sab tumhi ko taktay hain
na youn inhain barbad karo
ye pyar tumhi say kartay hain
ye patay youn na raundo tum
ye chaaon tumhi ko detay hain

Tum chukay inhain dekho zara
kyun itney sundar lagtay hain
Ye barish phir jab huti hai
Kyun nikhray nikhray lagtay hain
ye pattay youn na raundo tum
ye chaaon tumhi ko detay hain

Gaye dino ko jab bhi dekhta hun
Kuch aks puranay dikhtay hain
Phir soch purani aati hai
Aur yad-e-maazi dard ban kar
Zaat meri main rehta hai
Main phir say chalnay lagta hun
Tu youn lagta hai jaisay koi
Shaks purana sath hu mairay
Ye patay youn na raundo tum
Ye chaaon tumhi ko detay hain

Aur jab mausam saazish karta hai
Tu badal ronay lagtay hain
Ye pattay phir say dekho tum
Kuch ujlay ujlay lagtay hain
Per khizaan jab jab aati hai
Paigham-e-maut laati hai
Ye patay phir gir jatay hain
Aur ishq amar kar jatay hain
Ye pattay youn na raundo tum
Ye chaaon tumhi ko detey hain