Tuesday, January 22, 2013

INSAAN....

Insaan - bazaahir aik lafz hai, per isay agar ghaur aur itmenaan say parkha jaye tu buhut si haqeeqaton ka samna karna parta hai, jin main say kuch tu khushi ka baais banti hain, aur kuch be-inteha talkh. Insan ki takhleeq khud aik ajooba rahi hai hamesha say.

Bazaahir dekha jaye tu har insaan koi na koi daaway zarur karta hai, apni hasti main apnay aap ko hi kisi na kisi tarhan munfarid samajhta hai. Lekin haqeeqatann aesa kuch nahin huta. Bazaahir dekho tu aik mazboot shaksiyat, lekin andar say sab dhoka, fareb, jhut aur naa-paidaari.

Insaan hai ju maseeha kay roop main namudaar huta hai, aur phir yehi insaan aik khatarnaak janwar ki maanind bhi dikhaye deta hai. Khuda nay tu isay makhlukaat main afzal tareen bana bheja, lekin iskay amal nay isay kahin ka na chora.

Khuda nay phir isay emaan jesi dolat say bhi nawaza, aur sath hi sath, nafs ko bhi takhleeq kar dala, emaan kay imtehan kay liye. Bas jis shaks nay nafs ko apnay uper haawi na hunay diya aur apnay hi aap main lagi is jang ko jeet liya, wu insaan hamesha kay liye amr huwa.

Bazaahir dikhnay wala aik mazboot insaan, dil main kya kya liye betha huta hai ye yaa tu wu khud janta hai ya Khaaliq-e-Qainaat. Kisi bhi halat main khush na rehnay wali hasti ka naam bhi insaan hi hai.

Zindagi bhar mehnat karta hai, jad-o-johad karta hai, kuch banta hai, aur jab wakt aata hai zindagi ko jeenay ka tab mun main na tu daant rehtay hain na jism main wu sakat kay un lamhaat ko jee sakay.

Buhut hi ajeeb hai ye insaan bhi, nafs ko maar bethay tu qalandar aur nafs say haar jaye tu fakat sirf aik aam sa nakaam - Insaan

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.