Tuesday, January 22, 2013

MUKAM'MAL SAWAAL, ADHURAY JAWAAB....


Rishtay nibhatay nibhatay thak gaya tha tab tak main, lekin isi aas main kay meri is mehnat aur justaju say meray saray dost yaar aik jism aik jaan banay rehtay hain, kabhi himmat nahin hari thi. Tab chot kisi ko laga karti thi tu dard koi aur mehsus kiya karta tha, buhut hi nayaab wakt, baray anmol lamhay thay wu. Mainey ye sun tu zarur rakha tha kay wakt aik jesa nahin rehta hai, lekin us din pehli baar is baat ko apnay saamnay sach hutay bhi dekha, sab khatam hutay dekha mainey. Wu saaray log, ju jaan nichaawar kar denay kay dawedaar rahay, choti choti ghalatfehmiyon nay unkay rawaiye hi badal daaalay.

Youn mehsus hunay laga tha kay aik aesay darhkt kay neechay aa khara huwa kay jiska saya tu hai, per us saye ki tapish shayed dhoop say kayee gunaaah zayada thi. Dosti ki bunyaad per banay rishtay kya itnay kachay hutay hain, itnay na-paedaar huwa kartay hain kay choti si ghalat fehmiyaan unhain reza reza kar dalti hain. Sab juda hu rahay thay, mulakaaton main ab taweel waqfay aanay lagay thay, na baat huwa karti thi, aur naa hi koi baaat samaaton say aakar takraati thi. Dheeray dheeray jab ye dhaagay mazeed ulajhnay lagay, tu in main anaa ki aag bharak uthi, aur ye uljhay dhaagay kab jal kar raakh ban gaye, pata hi na chal saka. Aaj aik muddat baad usi jagah, sumandar kinaaray aa khara huwa hun. Buhut saal guzar gaye hain, buhut wakt beet chukka hai, itna kay ab tu wu yaadain wu baatain aur unki soch bhi kuch kuch dhundlaanay lagi hai.

Wesay tu dil main buhut say sawwal janaam letay rehtay hain, per is baaar ju dil ye puch betha hai kay agar nibhaana nahin jaantay they tu phir aadat daali hi kyun thi? wu zara si pareshani per kaanp uthna, zara si takleef baar baar puchna, agar dard hi dena tu phir un gehray zakhmon per marham rakha hi kyun tha?

Bas inhi aur is tarhan kay kayee sawaalon kay jawaab dhundnay aaj buhut barson baad usi jagah phir say aakhara huwa hun, shayed sawaalon aur jawabon ki aarrh main koi bhula bhatka meri tarhan ka puraana yaar hi mil jaye yahan, lekin hum dono hi tanha aur akelay kharay aik doosray ko dekh rahay hain, main aur ye udaas tanha sumandar.

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.