Tuesday, January 22, 2013

MUKAM'MAL SAWAAL, ADHURAY JAWAAB....


Rishtay nibhatay nibhatay thak gaya tha tab tak main, lekin isi aas main kay meri is mehnat aur justaju say meray saray dost yaar aik jism aik jaan banay rehtay hain, kabhi himmat nahin hari thi. Tab chot kisi ko laga karti thi tu dard koi aur mehsus kiya karta tha, buhut hi nayaab wakt, baray anmol lamhay thay wu. Mainey ye sun tu zarur rakha tha kay wakt aik jesa nahin rehta hai, lekin us din pehli baar is baat ko apnay saamnay sach hutay bhi dekha, sab khatam hutay dekha mainey. Wu saaray log, ju jaan nichaawar kar denay kay dawedaar rahay, choti choti ghalatfehmiyon nay unkay rawaiye hi badal daaalay.

Youn mehsus hunay laga tha kay aik aesay darhkt kay neechay aa khara huwa kay jiska saya tu hai, per us saye ki tapish shayed dhoop say kayee gunaaah zayada thi. Dosti ki bunyaad per banay rishtay kya itnay kachay hutay hain, itnay na-paedaar huwa kartay hain kay choti si ghalat fehmiyaan unhain reza reza kar dalti hain. Sab juda hu rahay thay, mulakaaton main ab taweel waqfay aanay lagay thay, na baat huwa karti thi, aur naa hi koi baaat samaaton say aakar takraati thi. Dheeray dheeray jab ye dhaagay mazeed ulajhnay lagay, tu in main anaa ki aag bharak uthi, aur ye uljhay dhaagay kab jal kar raakh ban gaye, pata hi na chal saka. Aaj aik muddat baad usi jagah, sumandar kinaaray aa khara huwa hun. Buhut saal guzar gaye hain, buhut wakt beet chukka hai, itna kay ab tu wu yaadain wu baatain aur unki soch bhi kuch kuch dhundlaanay lagi hai.

Wesay tu dil main buhut say sawwal janaam letay rehtay hain, per is baaar ju dil ye puch betha hai kay agar nibhaana nahin jaantay they tu phir aadat daali hi kyun thi? wu zara si pareshani per kaanp uthna, zara si takleef baar baar puchna, agar dard hi dena tu phir un gehray zakhmon per marham rakha hi kyun tha?

Bas inhi aur is tarhan kay kayee sawaalon kay jawaab dhundnay aaj buhut barson baad usi jagah phir say aakhara huwa hun, shayed sawaalon aur jawabon ki aarrh main koi bhula bhatka meri tarhan ka puraana yaar hi mil jaye yahan, lekin hum dono hi tanha aur akelay kharay aik doosray ko dekh rahay hain, main aur ye udaas tanha sumandar.

AIK SHAIR....

muhabbat agar sajdon kay ewaz milti
tu sir utha kay jeenay ki fursat na huti

INSAAN....

Insaan - bazaahir aik lafz hai, per isay agar ghaur aur itmenaan say parkha jaye tu buhut si haqeeqaton ka samna karna parta hai, jin main say kuch tu khushi ka baais banti hain, aur kuch be-inteha talkh. Insan ki takhleeq khud aik ajooba rahi hai hamesha say.

Bazaahir dekha jaye tu har insaan koi na koi daaway zarur karta hai, apni hasti main apnay aap ko hi kisi na kisi tarhan munfarid samajhta hai. Lekin haqeeqatann aesa kuch nahin huta. Bazaahir dekho tu aik mazboot shaksiyat, lekin andar say sab dhoka, fareb, jhut aur naa-paidaari.

Insaan hai ju maseeha kay roop main namudaar huta hai, aur phir yehi insaan aik khatarnaak janwar ki maanind bhi dikhaye deta hai. Khuda nay tu isay makhlukaat main afzal tareen bana bheja, lekin iskay amal nay isay kahin ka na chora.

Khuda nay phir isay emaan jesi dolat say bhi nawaza, aur sath hi sath, nafs ko bhi takhleeq kar dala, emaan kay imtehan kay liye. Bas jis shaks nay nafs ko apnay uper haawi na hunay diya aur apnay hi aap main lagi is jang ko jeet liya, wu insaan hamesha kay liye amr huwa.

Bazaahir dikhnay wala aik mazboot insaan, dil main kya kya liye betha huta hai ye yaa tu wu khud janta hai ya Khaaliq-e-Qainaat. Kisi bhi halat main khush na rehnay wali hasti ka naam bhi insaan hi hai.

Zindagi bhar mehnat karta hai, jad-o-johad karta hai, kuch banta hai, aur jab wakt aata hai zindagi ko jeenay ka tab mun main na tu daant rehtay hain na jism main wu sakat kay un lamhaat ko jee sakay.

Buhut hi ajeeb hai ye insaan bhi, nafs ko maar bethay tu qalandar aur nafs say haar jaye tu fakat sirf aik aam sa nakaam - Insaan

ZARA SOCHO TU SAHI.....

kya huga? dharnay denay say kya huga? ronay peetnay say kya huga? cheekhnay chillanay say kya huga? aesa karo, gharon ko laut jao, aur ja kar so jao, jesay kay pichlay 60 saalon say sotay aye hu. aur jesay kay aaj bho so rahay hain baaki sab.
Suno, tumhara sath denay ko koi nahin ayega, hukmaran tu kabhi nahin aingay, aur agar aye bhi tu sirf tamasha dekhnay aingay, ye dekhnay aingay kay koi zinda tu nahin bach gaya.

Hum wu log hain, ju museebat aur ghussay kay wakt hosh-o-hawaas kho beht'tay hain. Aray jab humain sabar say kaam lena chahiye hum shehar jalana shuru kar detay hain, apni hi dharti, apnay hi logon ko jala kar kya huga.

Kesay apnay hi mohsin ko do pal main ghaddar bana dala, us roz Mauhtaram Quaid Jinnah ki shaan main ju gustaakhiyaan ki gaye, uskay zimedaar afraad tu aaj tak awaara ghoom rahay hain.

Meray naadaan logo, jaltay huwe aashiyaane per tail kaun daaalta hai, kabhi aesa bhi huwa hai kay koi museebat zayada hu, pareshaan hu, gham aur ghussay main mubtila hu aur aesi halat main apna hi ghar jala daalay?

Meri maano, chup chaaap ghaflat ki neend soye raho, ye jhuti baatain, banawti amal, aur ye natak band kar daalo, tumhari chaar baaton say koi badlao nahin ayega, ye dangay fasaad tumhain kahin ka nahin choraingay, meri maano sotay raho ghaflat ki neend bas.

Baat kartay hu inqalaab ki, inqalaab apni hi dharti maa ko jalanay say nahin aatay, apnay hi logon ki jaanain lenay say nahin aaya kartay, inqalaab us soch ju hamaray jazbaat say khelti hai, usko maarnay say aaya kartay hain

Jab apni hasti ko is qaabil samjho tu baat karna………….

Friday, January 11, 2013

TALAASH.......

Aksar aur beshtar, youn bhi huta hai, kay dil dharakta huwa mehsus tu huta hai per zinda hunay ka ehsas nahin huta. Beshumaar hasratain insaan kay dil main peda huti hain, aur aesa wakt bhi aata hai, jab wuhi hasratain, naa-umeedi ka libada orh leti hain. Naa-umeedi bhi buhut hi ajeeb cheez hai, deen nay haram kar rakha hai, per ye har shaks kay wajud main kahin na kahin zarur maujud huti hai, aur agar na bhi hu tu zindagi aur halaat insaan ko is kay samnay kabhi na kabhi zarur la khara kartay hain. Insaan ki khuwahishaat usay buhut majboor kar dalti hain, kay wu aesay feslay karay ju zindagi main aagay chal kar sharmidagi ka baes bantay hain. Anjanay main kiye janay walay feslon kay aagay dil bebas hu jata hai, aur inhi ghalat feslon ki zad main aakar wajud aesay zakhm khata hai ju zindagi bhar shayed bhar nahin patay.

Bazaahir tu buhut say lamhaat aesay bhi aatay hain, jab faraaar kay raastay wa'azay dikhayee denay lagtay hain, lekin phir yeh soch aaray aati hai kay faraar hu bhi tu aakhir kis say? Apnay aap say bhi koi aakhir bhaag paya hai aaj tak. Ye apni hi zaat say ki janay wali jang bhi tu buhut hi khatarnaak huwa karti hai. Mainey bhi yehi himakat ki, apnay dil say hi lar betha. Apni hi khuwahishaat ko apna hi dushman bana betha main.

Main ye tu nahin janta kay meray dil aur meray wajud ki is jang main, kaun jeet paya hai. Haan! itna zarur janta hun kay jab tak saansain chalti rahaingi, tab tak ye jang bhi shayed chalti hi rahaygi. Main ye jang jetnay kay liye kabhi nahin lara, main tu bas apni shanaakht haasil karnay kay liye larta aaya hun.

Bas, jis pal mujh main apna aap mil gaya mujhey, shayed usi roz main is dil kay aagay haar jaunga apna sab kuch. Mujhey talaash hai tu apnay aap main chupay us shaks ki, kay jisay phir shayed kabhi koi kamzor na kar payega.

Main agar ye jang hara tu bas isliye kay zindagi ko dikhana chahunga, yehi kay, haar kar bhi jeeta kesay jata hai.......

Thursday, January 3, 2013

AGAR TUM IJAZAT DO TU.....


Suno, agar tum ijazat do tu main tumhari sab yaadain mita daalon, meray dil aur dimaagh main ab koi jagah nahin baaki, buhut si sochain aati hain aur wapas chali jaati hain. Muhabbat kay junoon main sab tumhain sonp dala tha. Youn mehsus huta tha kay shayed umr bhar tumhari yaad sath rahaygi, magar tum hi batao ab, kya ye mumkin hai, tum sath nahin, phir bhi tumhain sath liye kesay chalon?

Agar tum ijazat do tu main phir say muhabbat kar daalon, buhut say log hain jinko, tumhari deed ki khaatir, tumharay pyaar ki khaatir, tumharay hi intezaar ki khaatir, hamesha rokay rakha hai, unhain maloom hai kay main tum say hi pyar karta hun, magar phir bhi tum ye dekho, buhut belaus muhabbat hai, unhain mujh say hamesha say. Magar mainey unhain kab say tumharay naam ki khaatir, muhabbat say mehroom rakha hai, tumhari muhabbat nahin hai paas, muhabbat ki is duniya mian, tum hi batao main kesay rahon?

Agar tum ijazat do tu main phir say jeena chahta hun. Mukaddar tu hamesha mujh say khelna chahta tha, usnay khela bhi, aur jeeta bhi. Tum hi batao, mukaddar kay feslon kay aagay kaun jeet paya hai? Hakeekat jaan jaanay kay baad, mujhey youn mehsus hunay laga tha kay jaan hi jaanay lagi hai. Zindagi tu pehlay hi museebatzada thi, tu ye soch kar dil ko tassali di kay chalo younhi sahi. Tum nay bhi jatay jatay kuch lautaya nahin, kam az kam kuch tu luta jaati, mujhey meri shanaakht hi lauta jaati, per tumhain shayed jaldi thi. Tum hi batao ab, main kis naam say zindagi guzaron ab?

Suno, agar tum ijazat do tu, main aankhain band kar daalon…………..