Saturday, March 8, 2014

MERAY HATHON KI LAKEERAIN....

Wu bari dair tak mera hath thaamay meray hathon ki lakeeron ko parhnay ki koshish karta raha, usay ye lagta tha kay wu meray naseeb main nahin. Mujhey per us say thi muhabbat be-inteha.

Uski heraan aankhain kuch kehna chahti thi, lekin alfaaz shayed saath nahin day rahay thay uska. Usay ye khauf bhi tha kay agar wesa huwa kay jesa lakeeron main likha ja chuka hai tu wu kesay rahayga meray sath umr bhar, usay mujh say muhabbat ju na thi.

Aur ye itmenaan bhi kay lakeerain kaunsa sach kehti hain, Mustakbil ka haal tu khuda ki zaat kay ilawa koi bhi nahin jaanta. Uskay chehray kay badaltay huwe rang kaafi numaya thay. Mujhey dilasay tu deta raha din bhar aur shaam huwee tu ye keh kar chal diya, khuda tumharay naseeb achay karay.

Uski is berukhi aur sard lehjay nay meri saari umeedain maar daali thi. Main janta tha kay wu meray naseeb main nahin phir bhi uski khushi ki khaatir mainey apnay haath hi jalaa daalay....

Aur wu shaks meray haathon ki lakeeron main hi kahin kho gaya.

TUM NAHIN TU KYA HUWA....

Baraa baras ka taweel arsa guzar chuka hai hamaray beech, aaj barson baad hum milay, aaj bhi milay tu fakat tumhari hi baat huwe.

Dost - Khuda Ta'ala nay aik ajeeb hi rishta bana dala hai, insaan inkay bina pura hu kar bhi adhura hi rehta hai shayed.

Maazi ki buhut si baatain jinahin insaan kabhi faramosh nahin kar sakta, per chahtay huwe bhi yaad ka wu hissa umr aur wakt kay sath sath dhundlaa jaata hai,

Meray sath bhi kuch aesa hi huwa, halaat aur zimedaariyon nay aesa ghera kay maazi aur bachpan kay un khoobsurat lamhaat ki yaadain dhundlaa si gayee, jinahin main kabhi bhulana nahin chahta tha,

Aaj jab hum milay, tu kuch mujhey yaad tha kuch unhain, meray baar baar israar per wu kissay aur baatain chal nikli jinhain main kisi tarhan shayed bhool chuka tha,

Suno, unhain ye lagta hai main sirf tumhari baatain karnay aur jan'nay kay liye shayed unsay milta hun, lekin wu mazaq kartay hain, hastey hain, mujhey tang kartay hain, tu buhut acha mehsus huta hai, kay meray aas paas hasnay walay chehray aaj bhi maujood hain

Tumharay baad bhi dekho meray sath hain meray log ju tum say nisbat rakhtay hain, tumhain kya lagta hai, main sab bhool chuka hun, mujhey yaad hai shayed kuch kuch ya phir buhut kuch,

tum nahin tu kya huwa, meray sath hain meray kuch anmol dost

YAAD-E-MAAZI...

Aaj mudaton baad aik aesi hasti say milnay ka sharf haasil huwa, aik aesi shaksiyat ju buhut hi mautbar darjaat rakhti hain, jin say mansoob hain meray maazi ki kuch pur-musarrat yaadain, bachpan ki kuch haseen aur masoom si sharaartain aur unsay juri unki hastay huwe andaaz main wu daant bhi yaadon ka buhut hi khoobsurat hissa hai.

Aaj muddaton baad unhi say suna, 'yaadain maar daalti hain'. Bazaahir sach lagnay wali ye baat na sirf hakeekat per mabni hai balkay buhut say mussanif is baray main buhut kuch tehreer bhi kar chukay hain.

Likhnay walay bhi aksar kamaal kar daaltay hain, ye aik shair ju kuch is tarhan say hai kay, "Yaad-e-maazi azaab hai ya rab, cheen lay mujh say haafiza mera", apnay andar buhut samaye betha hai.

Yaad - ya tu talkh huwa karti hai ya phir be-intehaa haseen. Agar talkh hu tu jab jab wu yaad aati hai tab tab insaan ka pura wajood toot kar bikhar jata hai, per aglay hi lamhay agar socha jaye tu maazi ki koi haseen yaad usay kuch kuch bhulanay main madad zarur karti hai.

Har roz jab parinday apnay gharon ko janay lagtay hain, shaam kay gehray saye tareek say tareek tar hutay jatay hain, suraj apni jagah chor kay kahin kho jata hai, tu phir wuhi koi bhuki bhatki si yaad purani aajati hai, aur mera wajood hazaar tukron main bikhar jata hai.

Har subha jab uth'ta hun tu usi bikhray huwe wajood ko samet'ta hun aur jeenay lagta hun. Zinda rehnay kay liye zaruri hai kay na sirf muskurahaton say rishta banaya jaye balkay khushiyon ki talaash main bhi nikla jaye.

Bas phir har mehroomi ko peechay chor kar nikal jana chahiye, talaash main, aik aesi talaash main jismain fana bhi huna paray tu koi muzaika nahin, per is talaash main kho kar apna aap mil jata hai, aur na bhi milay tu Rab zarur mil jata hai.

Maazi ki mehroomiyon ko bhi ye bata dena chahiye kay mera aaj tum say kayee gunaah haseen hai, ju kal nahin tha aaj wu sab mainey haasil kar liya hai, na bhi kiya hu tab bhi shayed behlaaway buhut sa kaam kar daaltay hain.

Yaad-e-maazi jesi bhi hu, bas agar hum usay apni kamzori bana daalain tu shayed zindagi wahin theher jaye, jeena tu aesay chahiye kay wuhi yaad ju dukh ka baais banay usay apni kamzori ki bajaye taakat bana kar jeena chahiye.

Aasaan huta hai kehna per amal main lana be-inteha mushkil, lekin agar niyat baand li jaye tu aur koshish ki jaye tu sab asaan hu jata hai.

Yaad maar tu zarur daalti hai, lekin phir ye yaad na hu tu hamaray mustakbil aur haal ki bhi shayed koi ehmiyat na rahay, ye yaad hai tu buhut zaalim per zinda rehnay kay liye zaruri bhi tu buhut hai.

AKHIR HU KAHAN TUM....

Tum kahan hu?

Tumharay lehjay main ju mithaas huwa karti thi, us mithaas main chupa, madhosh kar denay wala wu saaz mujhey raat bhar sonay nahin deta,

Tumhari zulfon say jab tez hawa ka jhaukna choo kay mujh tak pohonchta tha, tu fiza mehak si jaati thi, wu khushboo mujhey raat bhar sonay nahin deti,

Tumhara tirjhi nigaahon say dekhna, dekhtay dekhtay muskurana aur chup hu jana, un aankhon ki wu shararat mujhey raat bhar sonay nahin deti,

Tumhara baat baat per jhagarna, aur us larayee larayee main hi achanak maafi maang kar sab bhula dena, wu rawaiy'ya mujhey raat bhar sonay nahin deta,

Tumhara mujh say aik nashit peechay bethna, aur sargoshiyan kartay rehna, un sargoshiyon main chupi masoomiyat mujhey raat bhar sonay nahin deti,

Mujhey yaad hai sab kuch kuch, maazi main guzra wu wakt ju hum nay sath bitaya, un lamhon ki yaad mujhey raat bhar sonay nahin deti

Tum kahan hu? kam say kam meri neendain tu lauta jao, is aziyat main jeena buhut takleef-deh sa lagta hai.

TUM AUR MAIN....

Suno, kabhi us raastay say guzarna hu, tu mera aik kaam kar dena, bas ye ehsaan kar dena, mita dena wu naam hamaray, ju kabhi mainey tumharay behad israar per, tarasha tha aik aik lafz,

Kay shayed aesa karnay say, sookhay huwe un darakhton ko, dobara jaan mil jaye, muhabbat kay piyasay jungle ko, zindagi is baar mil jaye,

Suno tum aesay karna kay, mera hi naam mitana bas, rehnay dena apna naam, kay jab koi puch bethay ga, tu beshak, tum ye keh dena, wu shaks bara hi bewafa nikla,

Mukammal sach tu ye hai kay, tumharay baad zindagi ka, koi maqsad nahin baaki, muhabbat tu hai baaki per,

Na tu baaki na main baaki.

AIK SHAIR....

kahani fakat do lafzon per thi mabni
sunate jisey umr saari guzar gaye

ILTIJAA....

Mujhey koi tu panaah dey day, ye muhabbat ki aandhiyan sab kuch ujaar daingi

IS BAAR JU AAO TU....

is baar ju aao tu yaad se saray adhuray kaam mukam'mal kar dena
meray kuch aakhri sans tumhari qaid main hain unhain azaad kar dena

lauta dena subha kay ujaalon ko unka sukun, chen unki apni roshni
raat kay sanaton ko bhi udaas aankhon ki maanind khamosh kar dena

mita dena wu fursat kay lamhay, wu shajar per tarashay huwe naam
veeran jungle ko bhi dukh bhari kahani apni is baar tum suna dena

likhna kaaghazon kay panon per daastan-e-ishq tafseel say apni
aur kitaabon main paray barson puranay phoolon ko bhi rula dena

dar ju lagay ruswayee say agar, tu be-dharak mera naam ley kar
meri belaus muhabbat ko bewafayee ka unwaan dey kar suna dena

chalo aesa karna, meri aakhri saansain bhi mat lautaana mujhko
unhain meri sachayee ka gawaah samajh kar, dil main hi dafna dena

KAHA THA NA TUM SAY....

Kaha tha na tum say, roshan sawera zarur ayega, mayoosi umeedon ka laibaada orhay najanay kab say dehleez kay paar khari thi, lekin ye bhi buhut khoob huwa kay andheray nay wafa na ki, is baar ju ye andhera ruk jata tu shayed har taraf mayoosiyan aur pareshaaniyan deray daal leti.

Kaha tha na tum say, gham chalay jaingay, in kay theher jaaney ka wakt tu buhut taweel huta hai per aik taweel musaafat aur bardaasht kay baad milnay wali rahat ka bhi tu phir aik alag hi lutf huwa karta hai, per tum thay kay samajhtay hi na thay, zindagi itni haseen bhi hugi kabhi socha bhi na tha tum nay.

Kaha tha na tum say, kay is baar jab bhi muhabbat tumharay aas paas mandlaanay lagay, uski khushbu ko mehsus karnay lago, tu aankhain band kar lena, aur is wajd ki halat main khuda ko yaad kar lena, wu baatain sach huwee tu, muhabbat hu hi jayegi, aur aik baat yaad kar rakhna, muhabbat rooth jaye tu azeeyat kam nahin huti.

Kaha tu buhut kuch tha shayed tum say, lekin ye tu kabhi socha hi na tha, kay itna kuch keh daalnay kay baad alfaazon ka ye zakheera khatam hunay lagayga.

Aur wuhi huwa, ye aakhri chand alfaaaz bachay thay, tu socha is baar kuch apnay liye bhi likh daalon, tumhain samjhatay samjhtay, wu sab kehtay kehtay, meray saray lafz chalaey gaye, aur apnay liye ab meray paas kuch bhi nahin raha

Mujh per itna tu rehem kartey jao, meray hi kuch lafz meri zindagi kay naam kartey jao, warna jeena shayed mahaal hu jaye. Aur wu jatey jatey bas itna keh gaya kay,

kaha tha na tum say!

AIK SOCH...

Tun ju jaan sakta agar haal-e-dil mera, tu khamosh muhabbat ke siva shayed kuch na milta.

ZINDA HUN ABHI....

Maana kay tumhain jaldi hai buhut, per zara thehro, meri zindagi kay din raat, unmain chupay zindagi kay aasaar tu lautaati jao, lauta do wu bachpan kay din, wu muhabbat ju tum say hi kee har pal har soo, wu pal aur un lamhon main chupay jazbaat tu lautaati jao, 

Suno zara theher hi jao kay saans abhi baaki hai