Saturday, December 24, 2011

UMR MERI

meri umr puchtay hu ya meray junoon, halat-e-ishq, ya wajd ki?
meri puchay hu tu kuch hi baras ki baat hai, per is halat main, main kitni sadiyan bita chuka hun, na wu kal janta tha na aaj, bas chali ja rahi hai ye, ye jisay tum nay zindagi ka naam de rakha hai.

Friday, November 11, 2011

JAB SAB JAANAY LAGAY

meray sawalon ko jab jawab milnay lagay
log bewaja meri zaat main ulajhnay lagay
zakhm saaray ju lagay, hain tar-o-taaza
dard kay badal phir say chaanay lagay
khud ki talash main niklay tu naakaam rahay
na milay hum, na khuda, hosh janay lagay
kisi intezaar main bethay rahay sara din
aur shaam ko parinday ghar ko janay lagay
sochtay hain safar main khasa wakt para hai
dil, dimaagh, badan, sab murjhanay lagay

Thursday, October 13, 2011

KUCH DAIR TU RUK JATEY


Aur phir tum chal diye, main aata zarur per shayed rab ki marzi shamil-e-haal na thi, do adad khoon ki botlain lag chuki thi mujhey tab tak,  aur youn hum hamesha kay liye alag hu chukay thay, udhar jab jab mairay saanson main rawaniyan numaya hu rahi thi, wahin tumhari zindagi kay dhaagay toot rahay thay, ye saza aakhir kiskay liye mukhtas ki gaye thi, tumharay liye, ya meray liye

Sach tu ye hai kay tum hamesha hi jeet jatay hu! Kuch dair tu ruk jatey

ACHANAK BUHUT YAAD AYE TUM

Aaj achaanak buhut yaad aye tum
roothay, tootay baadal dekhay
parindey ghar ko jatay dekhay
jaltay taaray bujhtey dekhay
tu achaanak buhut yaad aye tum
tapte sukhay sehra dekhay
behte darya thehertay dekhay
mausam roz badalte dekhay
tu achaanak buhut yaad aye tum
haste chehray rotay dekhay
log younhi badaltay dekhay
chartay suraj dhalte dekhay
tu achaanak buhut yaad aye tum

Wednesday, September 28, 2011

AB KUCH BHI TU NAHIN BAAKI

ab na koi dost hai apna
na koi yaar hai baaki
haal-e-dil bhi kehna hai
aur aik baat hai baaki
wu samjha jeet mili mujhko,
main kesay jeet sakta tha
usay paanay main hara tha,
ab kuch khona nahin baaki
wu tawaaf karti aankhain,
rim jhim barastay badal
ab na wu baarish baaki hai,
na tera sath hai baaki
aaj guzra un galiyon say
jahan hum ghuma katay thay
ab na wu log baaki hain,
na teri zaat hai baaki
veeraniyan tu aesi hain
dhum ghut'ta hai ab har pal
na ab wu shor hai baaki
na tu baaki, na main baaki
ab na koi dost hai apna
na koi yaar hai baaki
haal-e-dil bhi kehna hai
aur aik baat hai baaki

SUNA HAI.....

suna hai ab wahan un raston per koi bashar nahin aata,
suna hai wu aankhain jin main har pal sharaarat rehti thi ab berang rehti hain
suna hai ab jab jab bahar ka mausam aata hai tu sab khil jatay hain, siwaye uskay chehray kay
suna hai wu lab ju saray-aam gungunatay thay ab mehfil main bhi chup rehtay hain
suna hai jis jagah say wu guzar jaye wahan dobara phool nahin kiltay ab
suna hai ab wahan sooraj tu nikalta hai per dhup nahin huti aur gehray kalay badal pehra detay rehtay hain bas
suna hai wahan log ab bas sajdon main giray rehtay hain aur zameen seenchtay rehtay hain
suna hai ab wahan mayusiyon kay deray hain, veeraniyan behisaab hain
suna hai ab wahan un raston per koi bashar nahin aata
meri maanu, suno tum ab
wahan mat jao tum, wahan bas ab dard hi dard hai, aur haasil shayed kuch bhi nahin
wahan mat jaana ab
suna hai ab wahan un raston per koi bashar nahin aata

AIK SHAIR....

ab na tu umeed hai baaki na mausiyan rehti hain yahan
ab tu bas raks karti veeraniyan, aur tanhaaiyan hain yahan

Monday, September 26, 2011

TERI YAAD HAR RAAT JU AA JATI HAI

Teri yaad har raat ju aa jaati hai
mayusi umeed main badal jaati hai
Mairi soch raks karney lagti hai
teri yaad har raat ju aa jaati hai
veeran aankhain, khamosh lab
sab khil uthtay hain achanak jab
teri yaad har raat ju aa jaati hai
meeri sargoshiyon kay sawaal
badal jatay hain jawabon main
teri yaad har raat ju aa jaati hai
palkon pay paani ju rehta hai
qatra qatra sab beh jata hai
teri yaad har raat ju aa jaati hai
ab tu aksar ye soch bhi aati hai
kabhi teri yaad nahin tu aajaye
teri yaad har raat ju aa jati hai

Wednesday, September 21, 2011

NAYE DIN KA NISAAB

kay subha hunay ko hai ab
adhuri tehreerain, mukamal
kesay huwe maaloom nahin
kesay guzara tha din
kesay guzar gayee raat 
kay subha hunay ko hai ab
kahan gaye wu log sab
janmon sath waday sab
wu pal bhar ki musafat
umr bhar kay kissay sab
kay subha hunay ko hai ab
wu yad-e-maazi ka azaab
wu daur-e-haal ki kitaab
bas likhna chahta hun
wu puri zaat ka nisaab
kay subha hunay ko hai ab

HESIYAT DEKH APNI, PHIR PYAR BHI KAR LENA

Sun yar mujhey lagta hai mujhey pyar hu gaya hai.
Kya? Pagal hu gaya hai tu?
wu bhi tu chahti hai mujhey sahyed, yar kal milnay ka kaha hai usnay, wu kya hai na meray paas pesay thay per khatam hu gaye, kya karun, abba say kesay maangu, unkay paas bhi tu kam hutey hain.
Ye pesay ka yar bara masla hai.

Nai, wu meray paas 600 rupey bachay huwe hain, aapkay paas 1000 hungay, main aglay maheenay ki pehli taareekh ko lauta dunga yar.
Haan ley ley yar, kya yaar kisi kay paas itna pesa, tu koi payee payee ko tarse, khair kal kay liye all the best.
thanks, chalain chalta hai main, online ayengay aaj raat main?
Net chal raha huga tu zarur aaunga.


Kahan hu tum? Main bas 15 minutes main pohonchnay waali hu.
main bhi raaste main hu bas 5 minutes main pohonch jaunga.
Acha wu upper side walay table per mera intezaar karna, wahin aaungi main.
Acha, theek hai.

Kesi hu?
Main achi hun, aur tum?
Bas theek hi hun, khair, kya khaaogi tum?

Mujhey buhut bhook lagi huwe hai.
haan tu kha lu na, aray main dey raha hun na pesay, tum rehnay do, oh bhai is say pesay mat lena, andar rakho.
Nahin tum mat do, main dey rahi hu na.

Pagal hu gayee hu kya tum, pesa buhut hai, aani jaani cheez hai
Tum mujhey ghar ley kar chalo na, mujhey uncle aaunty say milna hai please, itney dinno say keh rahi hu.
Haan kisi din zarur bulaunga khnay per.

Haan bhaai, mil aaya?

Haan ji, mil aaya, buhut khush thi wu aaj.
Aur tu?
Haan, main bhi khush hun, per yar wu tu buhut ameer ghar ki larki hai, aur wu meray ghar aanay ka keh rahi thi, main usay yahan kesay bula sakta hun, kahan wu bungalow main rehnay wali aur kahan main kachi basti main aik boseeda, khasta-halat walay tootay phutey ghar main.
Haan ye tu hai, koi bahana hi laga do.
Pata nahin yar, wu kesa react karay.
Tum usay sab sach sach kyun nahin bata detay?
Aray wu jaanti hai kay main aik middle class gharanay say ta’aluk rakhta hun.
Wu bilkul jaanti hugi, per wu ye nahin jaanti kay living standards aur halaat itney kharab hain hum logon ko, hum bazaahir tu baray achay lagtay hain, per asliyat kya hai ye sirf hum jaantay hain.
Keh tu aap theek rahay hain yar, main koshish karunga, per agar wu chor gayee tu.
Tu acha huga, tum reality nahin badal saktay, per is malaal main bhi umr bhar nahin jee saktay.
Haan sahi, usay sab bata dunga kisi din.

Dekho mujhey tum say aik baat karna thi, pata nahin tum samajh paaogi kay nahin?

Haan Haan bolo kya baat hai, main samajhti hun sab
Yar main aik tootay phutay ghar main rehta hun, wu colony buhut purani hai, aur aik slum hai, aur phir meri job bhi nahin, sab mujh per dependent bhi hain, kahan say karunga apna standard acha.

Main reh lungi, mujhey koi fark nahin parayga.
Ye sab kehnay ki baatain hain, jahan mera dam ghut'ta hai tum azaad, khulay aur saaf suthray mahaul main pali bhadi, kahan reh paaogi wahan.
Reh lungi, tum fikar mat karu.
Tum nahin jaanti main kya hun aur kahan say ta’aluk rakhta hun. Kya tumharay amma abba maan jaingay?
Dekho unko aik acha larka chahiye, shareef larka, kamata hu, self-made hu, aur haan abba ko thori problem hugi, wu in cheezon ko zarur dekhtay hain.
Tu bas yehi  tu samjhana chah raha tha tumhain, acha ab chalain?
Haan chalo


(Aur ab aik muddat huwee us say baat kiye, aaj dekha tu nazrain sawaliya thi, main bhi tu nazrain chura sa raha tha, dil samajh hi nahin paraha tha, kay kasoor aakhir kiska hai, haan shayed mera hi tha, kasoor ye nahin tha kay us say pyar kar betha, kasoor ye tha kay apni hesiyat nahin dekhi mainey, usay inkaar kar deta tu shayed do dil kabhi youn na bikhartey, aik ghareeb aur ameer shaks ki jori kahan ban payee hai aaj tak, bas khuda aesi ghurbat na dey kay kufr tak pohonch jaye insaan, aur aesi amaarat bhi na dey kay insaan ghuroor kay sab pahar sar kar bethay)

ye pyar wyar kya huta hai, baat ruk jaati hai wahan jahan zindagi guzarnay ki baatain nikalti hain.

Sunday, September 18, 2011

KOI YAAD PURANI

adhuri puri mukammal yaadain
sath liye ab chal diye hain
wu zard zard pattay,
udas rootha kala badal
shor shor gaaliyon main
chalte phirte khaamosh chehray
geeli geeli aankhain
jesay sawan aye, chaa jaye
koi yad purani
koi baat anokhi
koi zaat ka kissa
kisi raat ka kissa
koi raahguzar, koi humsafar
wu raahain sab
veeraan hain ab
boond boond ashk
wu muthi bhar muskaan
jesay hu sab heraan
sath liye ab chal diye hain
sunsaan anjaan raaston per
jesay jhankti hai tanhayee
sath hai per sath nahin
koi apna ju kay paas nahin
kisi yaar ki yaad
kisi pyar ki baat
sath liye ab chal diye hain
adhuri puri mukammal yaadain
sath liye ab chal diye hain

Friday, September 16, 2011

ARAY AB BAS BHI KAR DO

wu kehtay hain, hu gaye shuru tum
main itni si baat karta hun,
shuru nahin ab tu khatm hunay ko hun
main tamaam kissay kahaniyan
sab dheeray deehray likh chuka hun
wu sab adhuri baatain apni
mukammal karte thak chuka hun
ab tu bas chalay janay ko karta hai dil
wu ab key baar kehtay hain
hu gaye phir say shuru tum
main kehta hun, ab tu khatm hunay ko hun
wu kehtay hain, samajh say bahar hai sab kuch
main kehta hun, zara aik baar phir parho
ye sab gali gali kay kissay hain
kitabon main bhi miltay hain
wu kehtay hain, kay bas, ab bas kar do tum
har so andhera hu chuka hai ab
main kehta hun, taareekiyon say dartay hu
kay sab tareek hu jayega, bas tum haunsla rakhna
kay ab shuru nahin, ab tu khatm hunay ko hun

AIK SHAIR....

Khaamoshiyan hi tu kehti hain sab baatain ab
main bolta tha tu log samajh nahin pate thay

AB TUM HI BATAO KUCH

meri in sard aankhon main
tumhara aks rehta hai
isay kesay nikalun main
wu saray deed kay lamhay
tumharay saath ju guzray
kesay phir say guzaarun main
wu pattay jin ki chaaun talay
hum wakt guzara karte they
kesay unko manaun main
hazaron log ab mujh sey
hamesha pucha karte hain
ab kya unko bataun main
meray andar ka mausam ab
buhut sunsaan rehta hai
samaa kesay banaun main
ye har pal har roz tootna
nahin gawara ab mujhko
kesay jee behlaun main
meri in sard aankhon main
ju tumhara aks rehta hai
isay kesay nikalun main

Wednesday, September 14, 2011

JAHAN EHSAAN FARAMOSH REHTE HAIN

Kaunsa mulk, kesa watan, main isay apna mulk kahun, ye gawara nahin mujhey, mera Pakistan tu bas kitabon main reh gaya, Pakistan tu shayed Quaid kay hunay tak tha, wu gaye tu sath chala gaya Pakistan bhi

Iski tu taareekh kehti hai, yahan har us shaks ko barbaad kar diya gaya jisnay mehnat ki, har us shaks ko sara-e-aam zaleel kar diya gaya ju imaadaari ko thamay rakhta tha

Iski tu taareekh gawah hai, jis nay bhi iskay liye puray dil say kaam kiya, lagan say kaam kiya, yahan usi wajud ko jala kar khaak main mila diya gaya

ye wuhi Pakistan tu tha, kay jismain wu shaks ju is mulk kay hunay ki wajah tha, wu beyaaro madadgaar aik footpath per para raha, kharaab ambulance bheji gaye, bheji bhi gaye tu usmain eendhan kam tha, makhiyon aur keeron kay darmayan para huwa azeem jism ye tu zarur sochta huga kay kis liye bana dala usnay ye mulk aakhir

Kaunsa mulk, kesa watan, main isay apna mulk kahun ye gawara nahin mujhey, mera Pakistan tu bas kitabon main reh gaya hai kahin.

Tuesday, September 13, 2011

KHO GAYA BACHPAN MERA....

kuch yad nahin kahan kho gaya hai bachpan mera

kuch der pehlay hi tu aye they yahan, wakt kab aur kesay guzar gaya pata hi na chal saka
jab shiddat say khuwahish raha karti thi dil main kisi khilonay ko paa lenay ki, tu jeb main pesay nahin huwa kartey they, aaj jab wesay beshumaar khilonay khareed sakta hun tu wu nanni si khuwahish kahan say laun

kuch yad nahin kahan kho gaya hai bachpan mera

wu bhi tu din they, jab kheltay kheltay buhut bari chot lag jaya karti thi, tu ehsaas hi nahi huwa karta tha, aaj choti si aahat dil kay sab taar hila jaati hai

kuch yaad nahin kahan kho gaya haiwu bachpan mera

wu har pal bada ban'nay ki khuwahish, bada dikhnay ki khuwahish, baar baar sheeshay kay aagay kharay huna kay shayed main bada hu gaya hun, aaj dhundta hun wohi bachpan

sach, bhool gaya hun sab

kuch yad nahin kahan kho gaya hai bachpan mera

Friday, September 9, 2011

AJEEB BAAT KARTE HU....

Tum bhi ajeeb zamanay ki baat karte hu, ye waja jafa sab baatain kitabon ki hain, yahan tu bas sikka chalta hai, sikka-e-raij-ul-wakt. Kya wafa, kya sach, kya imaandaari, yahan tu bas khel sara pesay ka hai. Tum say kisnay ye keh rakha hai kay yahan insaaf paa logay, haan shayed mil bhi jaye, koi bari baat nahin, per tum dekh nahin paogay, apnay poton say itna zarur keh jana kay jab koi fesla hu jaye adalat main aur insaaf mil jaye tu meri kabar per aakar do boond khushi kay ansu gira dena, main samjh jaunga kay insaaf mil gaya. Per meray bhai, is baat kay liye bhi tayaar rehna kay khabar buri bhi tu asakti hai, per wakt tu itna hi lagayga hai.

Tum say kisnay kaha hai kay yahan khushiyan milti hain, yahan tu bas dukhon kay sauday hutey hain, yahan takleefain baanti jaati hain, dard khareeday jatay hain, aray nadaan, yahan tu betay betiyan biktay hain, yahan roti mehengi aur khoon sasta hai. Tum kesi baatain kartay hu larkay, tum say kisnay keh rakha hai kay yahan badal paani barsatay hain, yahan tu khoon ki nadiyan behti hain, ghar say nikla huwa har shaks yahan laut'tay huwe uper walay ka shukar ada karta hai, yahan tu daray sehmay chehray hain, yahan har roz khoon ki holi kheli jaati hai, tum say ye aakhir kaun keh gaya hai kay tum jaan ki amaan paa logay yahan.

Tum ajeeb zamanay ki baat kartay hu, ye hastay chehray sab dhoka hai, yahan kaun kisi ki madad ko ayaa hai, yahan kaun kisi ko apna kehta hai, yahan tu bas mufaad ki jang lar rahay hain sab, matlab-parast is duniya main kahan koi sachay sakhi log mila kartay hain, ab tum hi batao jahan har taraf fareb kay gehray badal hun phelay huwe, wahan sachaiye aur saadgi sans kesay ley sakti hai. Jahan baat banti hu bas lenay denay say, jahan bas rishwat ka daur-daura hu wahan imaandaari kesay phal-phul sakti hai.

Tum bhi ajeeb hu larkay, ajeeb zamanay ki baatain chedh bethay hu

Thursday, September 8, 2011

TUJH SE WABASTA....

tujh say wabasta hain meray rishtey saray
ju tu nahin tu phir sath meray kuch bhi nahin

Tuesday, August 23, 2011

Saturday, July 30, 2011

TU KYA JAANAY, MERA JUNOON MERI DEWANGI....

Junoon aur deewangi, do mukhtalif keefiyat hain. Insaan jab in dono main fark ko jaan jata hai tu amr hu jata hai. Duniya-e-faani main Khaliq-e-Haqeeqi ki buhut si aesi anmol takhleeqaat hain kay jinhain dekh kar insaan ki aqal heran-o-pareshan hu jaati hai. Junoon aur deewangi bazaahir aik jesi keefiyat dikhayee deti hain, per in main fark agar parkha jaye tu insaani aqal shayed himmat haar bethay. Har aadamzaad aksar-o-beshtar yehi samajhta hai kay wu is kurra-e-arz ka sab say daanishwar insaan waqai huwa hai, per wu nadaan is baat say waqif nahin shayed kay is qainaat kay aesay buhut say raaz aur batain hain kay agar un say parda uth jaye tu insaan fana hu jaye. Ye dono keefiyat alag alag har insaan kay wajud main kahin na kahin zaurur maujud huti hain, per dono keefiyat ka bayak wakt aik hi shaks main maujud huna zara na-mumkin sa huta hai. Koi junooni, tu koi deewana huta hai. Ye dono keefiyat insaan per us wakt aik sath haawi huti hain jab wu ishq-e-majazi main haar kar apna safr ishq-e-haqeeqi ki jaanib shuru karta hai. 


Bas phir jis naseeb walay buhlay bhatkay insaan ko Rab ki zaat mil jati hai, wu apnay junoon aur deewangi main mast sab imtehaanon say khoob guzar jata hai, aur youn aik aam aadmi say sufi tak ka safar tamam huta hai, aur wohi aik aam aadmi kab buhut khas hu jata hai pata hi nahin chalta.

AWAARGI MERI.......

mera pagalpan samjh ya samjh deewangi isay
main tujh say milnay say kabal hargiz aesa na tha

Tuesday, July 12, 2011

JAB AAG BUJH JAATI HAI AUR AMAN HU JATA HAI.....

Raat kay is peher jab aasman per sirf aik jaltay roshan chaand kay siwa kuch aur dikhaye nahin de raha, mera sath denay ko aik soch aa bethi hai, kay kya koi jaag raha  huga meri in aankhon ki maanind, neend kay aanay kay aasaar tu dur dur tak dikhayee nahin detay, raat ka ye peher isliye bhi man ko bhaata hai kay is pal aam aadmi aur intehaa pasand bhi so jatay hain, dunia main aman  bas raat kay isi pal hu pata hai, har cheez jesay ruk si jaati hai

Jee tu yehi chahta hai kay younhi raat kay pur aman sannatay chaye rahain, kitna masum dikhayee deta hai ye zaalim samaaj  raat kay in aukaat main, tu phir isay soo kay kyun kar guzaar dun

Tuesday, June 21, 2011

ZINDA HU INSAAN AUR MAQSAD NA HU KOI....

Aur main haarta chala gaya, haarta chala gaya sab, khaamoshi aesi thi kay apne aap say khaufzada hunay laga man, dil kay sab raste ab soonay soonay aur veeran paray thay, aesa maloom huta tha jesay barson say in par koi na aaya hu, sochain bhi tu ab tanha aur khaali thi bikul wesay jesay banjar zameen per kabhi fasal na ugti hu, baat yahan par khatm na huwee, mujhay ab mustakbil ki aik taweel musaafat dikhayee denay lagi, ju zakhmi paun liye teh karna thi, tu phir kya tha, main chal tu diya per phir hosh na raha, aur ghalt faislon ki bheer charh gaya main.

Farq sirf itna raha kay dil tu pehlay bhi dharakta tha par ab ju dharkan thi iska koi maqsad na tha

WU SHAKS AUR HAMZAAD USKA.....

Aankhon main nami bhi thi aur labon per muskurahat bhi, najanay kis safar per chal diya tha wu, main khub samajh chuka tha uskay mizaaj ko ab, wu aesa hargiz na tha bas kaanton bari zindagi nay usay aesa bana dala tha, aaj aik muddat kay baad mujhey khayal aaya uskay chehray ko dekhnay ka, tu aankhain khuli ki khuli reh gayee, us berang veeraan chehray par chaayee khamoshi buhut kuch keh rahi thi, usay dekha tu ye mehsus huwa kay wakt sab badal dalta hai, ye wohi chehra tha ju kabhi bine muskuraye reh na pata tha, har aik ko cherna aadat si thi us shaks ki par ab tu jesay sab khatm hu chuka tha, uski zindagi main sab zawaal ki jaanib gaamzan tha

Main tu hamesha say hi uskay sath raha hun, main usi shaks ka HAMZAAD hun

Sunday, June 5, 2011

BAAT FAQAT ITNI SI THI.....

Ju ju bhi dooba huwa milta koshish yehi huti kay usay kinaray per laga dalun. Dhoop main chaun kesay huwa karti hai bata daalun, per is an-honi kashmakash main, main tu apna aap hi gawa betha, main ju mud'daton say apni hi talaash main raha, kesay kho diya apna aap, ye nahin janta tha. Meri tu hamesha yehi justaju rahi kay agar aik muskurahat say kisi ko sukun milta tu wu sab muskurahatain samet kar uskay damaan main daal deta. Yehi be-laus jazbaa liyay main zindagi guzarnay kay atwaar seekhta raha, aik naa khatam huna walay khel ka khilari ban gaya . Jeet na Haar kay liya khel raha tha main, main tu bas khel raha tha aik behtar kal kay liye. Kabhi kabhar insaan kisi honi ko samajh nahin pata, bas meray sath bhi kuch aesa hi huwa, main apnay atraaf kay chehron per muskurahatain bikhernay main laga raha aur itna magan hu gaya kay pata hi nahin chala kab meray andar veeraniyon nay ghar kar liya. Mujhey tu bas udaasiyon ko mitana tha, ab ki baar ye ju veeraniyan meri mehmaan ban bethi thi in say kesay jaan churata. Aik aur mahaaz khol betha bas, is baar dushman buhut hi takatwar tha, in say lartay lartay ye maloom para kay khushiyan aagar rooth jain tu unhain wapas bulana na-mumkin huta chala jata hai. Kisi had tak ab main shayed kamyaab hu chuka tha un sab chehron per muskurahatain bikhernay main, kay jinkay udaas chehray kabhi kaat khanay ko daura kartay they, per dheeray dheeray wu sab log bhi ab dur hunay lagay. Mairay andar dera daalay veeraaniyan ab meray aas paas bhi dikhayee denay lagi mujhey. Main tu najanay kab say in say larta chala araha tha. Sun tu rakha tha kay mayusi gunaah huwa karti hai, per aakhir ye kaun batayega kay jab insaan aik na khatam hunay wali justaju main laga rahay aur manzil kabhi dikhayee na dey tu kya phir bhi mayusiyon ko dost na banaya jaye? Mujhey tu ab ye lagnay laga tha kay mayusiyan kadray behtar dost ban sakti hain mujh jesay shaks ki, per phir khuda bhi yad rehta kay jis nay ye bata rakha hai kay mayusi gunaah hai, tu phir kahan jata main.

Baat faqat itni si rahi hamesha, kay main khushiyan dhundta raha aur khali wajud main veeraniyan ghar kar gayee.

HAAR KO JEET HI SAMAJHTAY RAHAY.....

Chalay tu badalnay thay ye reet riwaiyatain, ye kab maloom tha kay khud hi badal jaingay, wakt kay ghoray bhaagtay rahay aur tez tez bhaagtay rahay aur kuch bhi badal na paya, jism thakan say choor choor, himmat ab maand parnay lagi thi, per koshish jaari rahi, ummeed ki lagam thamay wakt kay ghoron per sawar rahay, aagay barhtay rahay per manzil tu jesay dur say dur huti chali gaye. Aakhir kaar himmat nay bhi jawab de dala, ab wu wakt aachuka tha kay jab auron ki tarhan chup saadh leni thi humain, sab bhool jana tha, wu sab koshishain ab chor dena thi, so wohi kiya ju wakt ka takaza tha, sawalia nighaahain Rab-ul-Izzat ki jaanib datti rahi aur main sab haar gaya

Jeet kabhi naseeb na thi aur haar kar bhi raha malaal....

Sunday, May 29, 2011

AB TU BAS....

Is baar bhi tu akela nahin hun main, main tu kabhi bhi akela nahin raha, buhut say janay pehchanay chehray aas paas raha kartay thay, aaj farq bas itna sa hai kay aas paas tanhaiyan rehti hain. Youn tu wu waqt bhi tha jab kuch logon kay beech beth'tay thay tu duniya bhar kay qissay kahaniyan gunja karti thi, aaj laakhon ki bheer main tanha rehtay hain. Hamesha yehi sun rakha tha kay waqt aik sa nahin rehta, shayed kisi nay sach hi kaha tha, waqt kahan aik sa rehta hai, wu bilawaja baat baat per muskura uth'ta tha dil, ab tu lab pehchaan hi nahin patay muskurahaton kay mizaaj ko.

Ab tu bas sath sath chaltay hain, main aur meri veeraniyan

Wednesday, May 11, 2011

MAI "MAI" NA RAHI....

Aur phir waqt hi badal gaya, ye un dinno ki baat hai jab is qainat ki har cheez sirf aik lafz "MAI" kay gird hi ghoomti thi meri zindagi main, phir Khuda ko talash karnay niklay tu pata chala kay is "MAI" say bahar tu aik buhut waseeh duniya basti hai, bas huwa kuch youn kay raastay wohi rahay, manzil badal gayee, jazbay wohi rahay, justaju badal gayee, MAI wohi raha, aur wu "MAI" badal gayee.

ab har su TU aur sirf "TU" dikhayee deta hai
aur bas soch raks karti hai....

Tuesday, April 26, 2011

AB TANHAEEYAN RAKS KARTI HAIN

aur phir wu wakt aakhir aahi gaya kay jiskay ajanay ka dar hamesha dil main raha. Ye jin raaston per buhut dur nikal aaya main, ye sochay jaanay bina kay phir shayed wapsi kay rastay band hu jain. Wu maur bhi aa  khara huwa kay jab lautna chahtay huwe bhi lautna na-mumkin thehra. Din doobnay lagay, taareekiyon main soch khonay lagi, aur ahista ahista raat kay andheron main sab sath chornay lagay. Ye silsila ju aik baar chal nikla tha kabhi ruk na paya phir. Wu ju muskurahton ki wajah huwa kartay they kabhi ab mayusiyon main kahin dikhaye nahin detay. Wu ju muhabbat kay thay paasdaar ab shayed sab bhula kar chal diye. Tanhaaeeyon ki chaahat karta dil aaj ajeeb kashmakash say guzar raha tha, dil kay aangan main khaufnaak khamoshi ju thi, aaj sab khamosh tha. Sach kaha tha kabhi kisi nay kay "keh do ju bhi man main aye, aesa na hu sun'nay wala hi kho jaye", kho hi tu gaye thay aaj sab, ab tu na koi sun'nay wala tha na koi kehnay wala. Wakt ka takaza yehi tha kay ju rooth chukay thay unhian manata kyun aur ju ja chukay thay chor kar unhain wapas bula kyun. Wu din wu pal kay jiskay aanay ka dar hamesha raaha aaj meray samnay aa khara huwa tha. Bheer main bhi tanha rehna sun tu rakha tha hi par ab dekh bhi liya, haan aaj akelay khara hun main, bilkul tanha. Khamoshiyon kay darmayan ab bas main aur meri tanhaayee raks kartay hain.

Monday, April 4, 2011

AIK SHAIR.......

in aankhon ki baat karun tu aakhir kin lafzon main
in main utroon tu naqsh ayaan hunay lagtay hian

AIK SHAIR......

aseb zada kehtay rahe log hamesha mujh ko
mujh per barson say aik insaan ka saya raha hai

Tuesday, March 22, 2011

JITHAY ISHQ DA PALRA KHUL JANDA

jithay ishq da palra khul jaanda
uthay ki karay ehsaan koi
jithay lela majnoon tey heer huwe
uthay raanjhay banday hazaar kurey
jithay ishq da palra khul jaanda
uthay ki karay ehsaan koi

Thursday, March 10, 2011

WU JU ZINDAGI KI MISAAL THA...

wu khuwaab tha na khayal tha
wu tu zindagi ki misaal tha
jisay wehshaton nay tha chun lia
usay zindagi say hi pyar tha
wu ju apnay fun main kamal tha
younhi bujh gaya ye malal tha
wu ju apnay aap main bemisaal tha
mujhey bas usi say hi pyar tha
wu khuwaab tha na khayal tha
wu tu zindagi ki misaal tha

Tuesday, March 8, 2011

AIK SHAIR......

dard ko agar haasil tha meray sath ka aaraam
tu phir usi dard ko apnana kisliye chaha tune

Tuesday, February 22, 2011

MAIN WU NA THA JU TU SAMJHI

ju huwa wu jhut bhi na tha,
main wu na tha ju tu samjhi
keh kar sun'na sun kar kehna
main wu na tha ju tu samjhi
nazron nay dekha aur jaan liya sab
main wu na tha ju tu samjhi
chup rahay lab aur kehti rahi aankhain
main wu na tha ju tu samjhi
wu jisay khata samjh bethi tu
main wu na tha ju tu samjhi
kuch na tha kuch per keh na paya
main wu na tha ju tu samjhi
aadat the meri khijna har aik baat ko
main wu na tha ju tu samjhi
meri hajat na thi tujh main mit janay ki
main wu na tha ju tu samjhi
mujh main sachayee beshumaar
main wu na tha ju tu samjhi
ju huwa wu jhut bhi na tha,
main wu na tha ju tu samjhi

Aksar

Geeli geeli mukammal yaadain
youn aksar ro deta hai tukra koi badal ka
wu ju pal kurbat kay rahay darmyan,
namukammal rahay ye soch kar
youn aksar ro deta hai tukra koi badal ka
us hasnay main kay us ro denay main
this sachayee, ye soch kar
youn aksar ro deta hai tukra koi badal ka
rounak un aankhon main rahi per
aakhir kis kay liye, ye soch kar
youn aksar ro deta hai tukra koi badal ka
kehna tu buhut kuch tha anwar per
lab tham gaye, ye soch kar
youn aksar ro deta hai tukra koi badal ka

Roshan Chaand aur ye andhera

Roshan Chaand jab khirki say jhaankta hai
meri soch wajd karti dikhayee deti hai
falak andheray main doobay udas rehta hai
har taraf khamosi dera daal leti hai
roshan chaand jab khirki say jhaankta hai
khushbu teri raks aas paas karti hai
bujha bujha sa koi lamha ju theher jata hai
taareek kamray main yaadon ki barat ajati hai
roshan chaand jab khirki say jhaankta hai