Tuesday, March 9, 2010

MUJH MAIN JU SHAKS REHTA HAI......(Doosri Qist)

Dunia tu hai hi aarzi per phir sochon kay ghoray dorata hun tu Hazrat Muhammad (SAW) ka farman yad ajata hai, tu phir say is soch say bahir nikal kar dil ko ye tassali dey deta hun kay aarzi tu hai per khuda nay aik qayam likh rakha hai yahan. Waqt kay sath sath kaafi baatain insan ki samjh main aajati hain, mujhey hamesha ye lagta tha kay main kuch nahin kar paunga, aik ehsaas-e-kamtari ka shikar hamesha say raha main. Per waqt kay sath sath wu ehsas-e-kamtari bhi bewafaee kar gaye. Is ehsas per agar roshni dalta hun tu kaafi kuch kehnay ko ji karta hai. Aik ghareeb ghar ka sar-chasm-o-charaagh hunay kay naatay, mujhey hamesha apnay un 'naam' kay doston kay saamnay bara ajeeb lagta, ju jab mehfil laga kar baithey hutey aur bari bari aali shaan gaariyon aur jagahon ki baatain kar rahay hutey, aur un kay darmyan kahin aik konay main chup chaap main unki sab baatain sun kar dil ko tassali deta rehta kay ye baatain teri samjh main nahin aaingi isliye tun chup hi reh tu acha hai. Dil ye baat jab dimagh ko apnay rawaiti tareeqay say pohonchta tu demagh meri zubaan ko taala laga deta aur main kuch kehnay say kaasir hu jata. Meray walid jab mujhey cycle per lainay meray school kay gate per atay tu mujhey buhut bura mehsus huta. Youn lagta jaisay mujhey dher saari nazron nay gher lia hu........

Nazrain bhi kya cheez hain.....dekhti rahain tu dar hai aur rooth jain tu tanhaiyaan....

1 comment:

  1. humair bhaie is ko parh k boht kuch appna appna sa feel howa:)

    ReplyDelete

Note: Only a member of this blog may post a comment.