Saturday, March 8, 2014

YAAD-E-MAAZI...

Aaj mudaton baad aik aesi hasti say milnay ka sharf haasil huwa, aik aesi shaksiyat ju buhut hi mautbar darjaat rakhti hain, jin say mansoob hain meray maazi ki kuch pur-musarrat yaadain, bachpan ki kuch haseen aur masoom si sharaartain aur unsay juri unki hastay huwe andaaz main wu daant bhi yaadon ka buhut hi khoobsurat hissa hai.

Aaj muddaton baad unhi say suna, 'yaadain maar daalti hain'. Bazaahir sach lagnay wali ye baat na sirf hakeekat per mabni hai balkay buhut say mussanif is baray main buhut kuch tehreer bhi kar chukay hain.

Likhnay walay bhi aksar kamaal kar daaltay hain, ye aik shair ju kuch is tarhan say hai kay, "Yaad-e-maazi azaab hai ya rab, cheen lay mujh say haafiza mera", apnay andar buhut samaye betha hai.

Yaad - ya tu talkh huwa karti hai ya phir be-intehaa haseen. Agar talkh hu tu jab jab wu yaad aati hai tab tab insaan ka pura wajood toot kar bikhar jata hai, per aglay hi lamhay agar socha jaye tu maazi ki koi haseen yaad usay kuch kuch bhulanay main madad zarur karti hai.

Har roz jab parinday apnay gharon ko janay lagtay hain, shaam kay gehray saye tareek say tareek tar hutay jatay hain, suraj apni jagah chor kay kahin kho jata hai, tu phir wuhi koi bhuki bhatki si yaad purani aajati hai, aur mera wajood hazaar tukron main bikhar jata hai.

Har subha jab uth'ta hun tu usi bikhray huwe wajood ko samet'ta hun aur jeenay lagta hun. Zinda rehnay kay liye zaruri hai kay na sirf muskurahaton say rishta banaya jaye balkay khushiyon ki talaash main bhi nikla jaye.

Bas phir har mehroomi ko peechay chor kar nikal jana chahiye, talaash main, aik aesi talaash main jismain fana bhi huna paray tu koi muzaika nahin, per is talaash main kho kar apna aap mil jata hai, aur na bhi milay tu Rab zarur mil jata hai.

Maazi ki mehroomiyon ko bhi ye bata dena chahiye kay mera aaj tum say kayee gunaah haseen hai, ju kal nahin tha aaj wu sab mainey haasil kar liya hai, na bhi kiya hu tab bhi shayed behlaaway buhut sa kaam kar daaltay hain.

Yaad-e-maazi jesi bhi hu, bas agar hum usay apni kamzori bana daalain tu shayed zindagi wahin theher jaye, jeena tu aesay chahiye kay wuhi yaad ju dukh ka baais banay usay apni kamzori ki bajaye taakat bana kar jeena chahiye.

Aasaan huta hai kehna per amal main lana be-inteha mushkil, lekin agar niyat baand li jaye tu aur koshish ki jaye tu sab asaan hu jata hai.

Yaad maar tu zarur daalti hai, lekin phir ye yaad na hu tu hamaray mustakbil aur haal ki bhi shayed koi ehmiyat na rahay, ye yaad hai tu buhut zaalim per zinda rehnay kay liye zaruri bhi tu buhut hai.

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.